Bilal Abbas Khan Family Full Detail in Roman Urdu

Bilal Abbas Khan (4 June 1993 ko paida hue) ya ek Pakistani actor hai jo k boy-next-door roles ke liye mashhoor hai. Media mein, unka naam pakistan ke mashhoor shakhsiyat mein shaamil hai. Khan ne teen Lux Style Awards jeetay hain. Unki acting ki shuruaat religious drama “Saya-e-Dewar Bhi Nahi” (2016) mein ek supporting role se hui, lekin unko Zaida shohurat romantic drama “O Rangreza” (2017), ma or “Balaa” (2018) aur revenge-based drama “Cheekh” (2019)  sy  mili. En dramon ma best adkari k  liye, enko Lux Style Award for Best TV Actor ka nomination b mila.

 

December 2020 mein, unhe UK magazine Eastern Eye ne “Top 50 Asian celebrities” ma shamil kiya .. jisme woh 28 number par the, sath hi chaar aur Pakistani celebrities b thy.. , aur magazine ne unhe “Pakistan ki sab se tezi se ubhrta hua..  sitara” qarar diya.

 

2021 mein, Eastern Eye ne unko “30 under 30 Global Asian Stars” ki list mein b shaamil kiya

Enk  career mein izafah hua comedy drama “Pyar Ke Sadqay” (2020) ke sath, jiske liye unhe bht Zaida pasand kia gia ,  aur Lux Style Award for Best TV Actor (Critics) bhi mila. Ya salsa chalta raha or unki adakari ko mystery thriller drama serial “Dunk” (2020) aur comedy drama  “Kuch Ankahi” jo kay  (2023) mein realase huey . Khan ne apne aap ko establish karne mein kamyabi hasil ki, recently  light-hearted romantic drama seral  “Ishq Murshid” ma enki adkari ko byhad pasnad kiya jaa raha hai, or bht jald enka next serial  Abdullahpur ka davdas, ma b apko enki acting skills dakhny ko milen gain…

Bilal Abbas Khan Karachi, Sindh mein ek Sindhi khandaan mein paida hua. Or enki cast pathan hai,,, Unke walid ka naam Sohail Abbas hai, jo Sindh Police mein DSP Karachi hain, , aur unki walida ka naam Farhana Sohail hai, jo ek fashion designer hain.

 

Karachi mein enho ny  apni pehli taleem hasil ki, phir enko ek boarding school, Murree mein لارنس

School bheja gaya, jahan unhone theater plays mein hissa liya, jis sy enka acting ki taraf rujhan barha diya. Fir enho ny Karachi mein Shaheed Zulfikar Ali Bhutto Institute of Science and Technology mein marketing ki taleem hasil ki, aur 2015 mein graduate kia..

 

acting sakhiny k liye ya  National Academy of Performing Arts b gye, jahan enho ny apni acting skills ko bahtir kiya..  or fir  2016 mein commercial modeling ke saath acting ki shuruaat ki, aur baad mein television roles ke liye audition dena shuru kiya.

Bilal Abbas Khan ne apni acting career ki shuruaat 2016 mein , Hum TV ke religious drama “Saya-e-Dewar Bhi Nahi” mein ek supporting role ke sath ki, jisme Naveen Waqar, Ahsan Khan aur Emmad Irfani jese actors bhi shamil the. Is drama ki direction Shahzad Kashmiri ne ki thi, aur Khan ne ek spoiled ka role play kiya tha jo apne maan-baap ko neglect karne par nafrat karta hai,…

 

Bilal Abbas Khan ko Zaida  tareef ek asy  role k liye mili, jisme usne ek aise aadmi ka kirdar ada kiya jo apne bade bhai (jis ka role Sami Khan ne play kiya) ki wajah se apni mohabbat (jis ka role Armeena Khan ne play kiya) se dhoka khata hai, romantic drama “Rasm E Duniya” mein, jo ARY Digital par 2017 mein telecast hua.

 Uske agle role mein, usne ek courtroom drama “Saanp Seerhi” mein qatal shuda shakhs ka kirdar play kiya. Ye series Umera Ahmed ki novel par based thi, , aur isme Samina Peerzada aur Madiha Imam bhi shamil the, jo uski maa aur mohabbat ka kirdar play kar rahe the. enka breakthrough role romantic comedy drama “O Rangreza” (2017) mein aaya, jisme usne ek introvert انٹروورٹ  ki kirdar play kiya, jo apne sakht uncle (Noman Ijaz) ke paas bada hua tha, aur phir uske beti se jo k (Sajal Aly) thi,  sy mohabbat ho jait hai, . ya series ne apne telecast ke doran rating mein sab se aage tha,  aur bilal abbas khan ko  mazeed pehchaan hasil hui, sath hi enko  Hum Award for Best Supporting Actor ka nomination bhi mila.

 

Fir next serial Balaa jo k 2018 ma realse hua enko mazed shohrat mili,  “jis ma ya ek asy shaksh ka kirdar niba rahy hain, jo apni maa sy juda hota hai, or eski selfish biwi (jis ka role Ushna Shah ne play kiya) se shaadi karta hai. Es drama ma enki adakari k liye …  ARY Media Awards for Best Actor jeetne ka mauka mila,, aur Lux Style Award for Best Television Actor ka nomination bhi mila. Daily Times ne use “is zamane ka bhahtreeen adakar ” kaha, aur ARY News ne kaha ki “Bilal Abbas khan..  mazeed mazeed taraqqi kar raha hai” aur use “hairat angez actor” kaha.

 

2019 mein crime drama “Cheekh” ek kamyaab drama ban gaya. Bilal Abbas Khan ne Saba Qamar ke opposite ek antagonist ka role play kiya, jo critics aur audience dono ne bahut pasand kiya. Esy  unhen Urdu television ke leading actor ke tor shanakhayat mili . Daily Times ne enko ” scary as the coldblooded murderer ” ka khatab dia…  jabki Mangobaaz ne enko  “a modern day masterpiece” kaha. Lux Style Awards mein, enhen  Best Television Actor ka ek aur nomination mila. Unka  agla project ek military-based telefilm “Laal” tha, jisme enho ny ek Naval officer ka role play kiya, jo Pakistan Day ke moqe par television par dikhaya gaya.

 

Khan ne 2020 mein comedy drama “Pyar Ke Sadqay” mein ek dumb lekin mathematics genius ka role play kiya, jisme Yumna Zaidi unke saath thi. Is series ko or unki performance ko audience aur critics ne byhad pasand kiya.

. The Nation ne kaha ki Khan ne is series mein apni performance mein ” bar high”  ” kiya hai. enka agla appearance social comedy web-series “Aik Jhooti Love Story” mein tha, jisme enho ne Madiha Imam ke saath kaam kiya. Isme enho ne ek computer hardware technician ka role play kiya, jo apne neighbor ke saath online profile ke zariye unknowingly romance karta hai. Web-series, jo Umera Ahmed ne likhi thi, Indian video on demand service Zee5 par stream hui.

 

Khan ne 2020 mein thriller series “Dunk” mein bhi kaam kiya, jisme enho ny Sana Javed k sath ke hot-headed love interest ka role play kiya, jis ma Noman Ijaz aur Yasra Rizvi b shamil thin . ya series  #MeToo movement par based tha. 2021 mein, unhone apni doosri film “Khel Khel Mein” mein lead role kiya, jisme Sajal Aly unke opposite thi, aur Nabeel Qureshi ne direct kiya. Is film ko mixed reviews mili aur commercial taur par nakami thi. Usi saal, unhone “Dobaara” mein Maahir ke role ma Hadiqa Kiani ke saath kaam kiya. Ek saal ke baad, 2023 mein, unhe comedy drama “Kuch Ankahi” mein Salman ka role play karte hue dekha gaya, jisme Sajal Aly b shamil thin…

 

Aur phir 2024 mein, unhe romantic drama “Ishq Murshid” mein dekha gaya, jisme  enho ny Durefishan Saleem k opposite kaam kiya. Isme unki performance ne Pakistan aur India ke audiences se bahut tareef hasil ki. esi saal, unhe ZEE5 ki web series “Abdullahpur Ka Devdas” mein Sarah Khan ke saath dekha gaya.

 

Apko bilal abbas khan k bary ma jan kar kasa laga, ap logon ny apni rai ka izhar comments section ma zaror karna hai….

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *